Tuesday, 22 November 2011

To Yaad Aaon Ga

Tum meri Ankh ke tever  na bhula pao ge
Ankahi baat ko samjho ge to  yaad aaon ga

Hum ne khushio ki tarh dukh bhi ikathe dekhe
safha e zeest ko palto ge to yaad aaon ga

Isi andaaz se hote they mukhatib mujh se
Khat kisi aur ko likho ge to yaad aaon ga

Sard raaton ke mehektey huwe sannaton me
Ja kisi phool ko choomo to yaad aaon ga

Ab tere ashk me hoton se chura leta hoon
Haath se khud inhein poonchon ge to yaad  aaon ga

Shaal pehnae ga ab kon December mein?
Barishon me kabhi bheego to yaad aaon ga

Aaj to mehfil-e-yaaran pe ho maghroor boht
Jab kabhi toot ke bikhro to yaad aaon ga

Haadse aaen ge jivan me to tum ho ke nidhaal
kisi divaar ko thamo ge to yaad aaon ga

Is me shaamil hai mere bakht ki tareeki bhi
Tum Siyah rang jo kabhi pehno ge to yaad aaon ga






No comments:

Post a Comment